Thursday, January 14, 2010

...ek timtimata tara ho

hawaon se dosti hai, aasmanon se ishq,
zameen se toot gaya hai rishta -
chaaron taraf gehre-se hain andhere,
thake-thake se hain chiraag;
aur tum, kahin door ek timtimata tara ho !!

tumhare bin chalun to kidhar, jaoon to kahan?
tumhari mehek manzil bhi hai, aur rasta bhi!
ummeed ka nasha hai -
kahin shayad tum chupchap, palat aao !!

tum palat aao ki, tamannaon ki angdaai palte,
tabassum ki roshni palte, zindagi palat aaye shayad!
meri manzil, tu mujhse apna pata to na chheen,
tujhse milne ko hi ab, bas zinda hoon shayad !!

yehi baaki raha tha, meri zindagi ka maqsad,
ke hatasha bhare iss jahaan mein,
kisi aur ka na sahi, tumhara hi ho saath!
par tum bhi iss veeran raat mein,
iss athaah nirasha bhare khyal mein,
sirf,
kahin door ek timtimata tara ho !!

--
vps.. d warrior
(09/12/08)

No comments: